in

Top 8 Online Earning Methods In Pakistan [Urdu]

Online earning in Pakistan

How to start online earning in Pakistan here I will tell you some working methods and for starters, I will guide you in Urdu so please keep reading this post without jumping to any other site.

Pakistan Me Online Paise kaise kamaye | Ghar Baithe Paisa Kamana In Pakistan

پاکستان میں پیسے کمانے کا طریقہ اردو میں۔

Aaj me aap sab ko online paise kamane k kuch treeke btane jaa raha hon jo k urdu me bohot hi km log btate hain. Agar aap ko English me itna likhna parhna nahi ata to aap preshan hona chor den q k ab Urdu me main aap ko full guide kronga k aap Online pasie kese kama sakte hain.

Online paise kamana itna mushkil bhi nahi he or itna asaan bhi nahi he. agr aap k paas aik computer or internet connection laga hoa hai to aap ba asaani ye sab kr sakte hain. is k liye aap ko sirf koi guide krne wala chahiye jo k me aap ko kronga.

You may also Like:

sab se pehle to aap ye dekhen k aap ko kis cheez me sab se ziada knowledge he. aap apna interest dekhen jis me aap ko ziada knowledge ho ziada interest ho aap usi cheez se paisa kama sakte hain.

Mane Paise kamana kab Shoro kiye

Bohot se log pochte hain k aap ne paise kese kamana shoro kiye to me unse apni complete story to share nahi kr sakta lakin ha is k liye me apna aik page bnaon ga jaha me complete story btaonga.

Internet par paise kamane k 8 treeke

is waqt internet pr 8 nahi balke bojhot se 1000+ treeke hain lakin me aap ko sirf 8 k baare me btaonga jo k asaan bhi hain or famous bhi.

  1. Freelancing
  2. Affiliate marketing
  3. Blogging
  4. Ecommerce
  5. Youtube
  6. Facebook Page
  7. Mobile App
  8. Dropshipping

Ye kuch aise treeke hain jo k aap internet se asaani se kr k bohot paisa kama sakte hain. Shayad aap me se kuch logon ko in kaamon ka pta bhi ho lakin jin afrad ko inka nahi pta unhe me yaha mukamal guide kronga.

Ab me aap ko in 8 treekon k baare me btaon ga jin ki madad se aap online pasie kama sakte hain. Bs aap ne is post ko mukamal parhna he or apna dihaan kahi or nahi bathkana.

1) Freelancing

Freelancing ka naam to aap ne bohot jaga suna hoga lakin kiya aap ko pta bhi he k log is treeke se kitna paisa kama rahe hain? Agar aap google pr earning check kren to aap ko aise log milnege jo k is waqt 100,000 se bhi ziada monthly kama rahe hain.

Freelancing me aap kisi cheez me skill ka hona laazmi he. Agar aap freelancing me ana chahte hain to aap ko aik aisa kaam ana chahiye jo k aap asaani se kr bhi saken or dosre logo ko bhi wo kaam kr k den jinhe iski zroorat hoti he.

Freelancing ki bohot si websites hain. Bss app ko woha Ja kr Account bnana hai or apni profile set krne k baad apne mutabik kaam ka ishtihaar lagana he. Woha pr log aap ko kaam denge or aap ko us kaam ko poora krne k paise milenge.

Is kaam me aap k paas computer or internet ka hona laazmi he. agar aap ko Photoshop, Inpage, corwal draw, Inpage or Microsoft word, excel etc.. or web designing, article writing, well English writing ati he to aap basaani monthly 50,000+ Kama sakte hain.

Freelancing k liye aap ko kuch websites ka pta hona chahiye jaha pr aap ye kaam kr sakte hain. Upwork, Guru, Freelancer.pk, Fiverr, Freelancer, Ifreelance, Odesk, and Tutor.

2) Affiliate Marketing

Affiliate Marketing in Urdu: Is kaam me aap ko Marketing ka kaam krna hota hai. Aap ko Products sell krwani hain or isi ko affiliate Marketing kehte hain. is kaam me aap ko customers lane hote hain or jab aap koi aik product sell krwate hain to aap ko uske mukhtalif paise milte hain.

farz kren k aap ko koi LCD sell krne ka kehta hai to aap usko sell krwane k liye customers talash krenge. Jiski wo LCD hogi wo app ko us me se 20% se 70% tk ka commision deta hai. Or yehi Affilate marketing hai. Aap ye kaam Amazon, Ali Express, clickbank, ALiBABA, Ebay or bhi bohot si websites hain jo k aap ko affiliate programme deti hain.

3) Blogging

Blogging kiya he? Kisi k saath Information share krna ya aap k paas koi aisa knowledge hai jo k aap kisi k saath share krna chahte hain to aap ye sab krne k liye Blogging krenge. Blogging me aap ko Posts likhne hote hain takey hr aney wala shakhs use asaani se parh sake.

Is waqt Aap jo is website pr ay hoe ho to ye aik blogging site he or me aap ko blogging se hi ye sab sikha raha hon. Blogging krne k liye aap ko aik acha knowledge hona zaroor chahiye warna aap is me fail ho jaoge. Blogging k liye aap ko SEO krna ata ho, Aap ko Post likhna ata ho, thumbnails bnane ate hon, Website ki settings, Basics, Customising wegera ati ho.

Ap blogging free me shoro kr sakte hain or is k liye aap ko bohot se aise plateforms mil jynge. Ziada tr ab aap Blogger pr aik free blog bna sakte hain or apna kaam kr sakte hain. Agar aap k pas aik acha khasa Visitor ata hain to aap Google Adsense se approval lr kr apni site pr ads laga kr earning kr sakte hian.

4) eCommerce

Ye aik bohot hi acha treeka he internet se paise kamane ka. aap k paas koi products hain to aap eCommerce k zriye unhe ache rate me sell kr sakte hain or aik acha munafa kama sakte hain.

Agar aap ki koi kapron (Cloths), Shoes, toys, books, electronic products wegera ki dukan he to aap inhe online stores jese Amazon, Daraz, Alibaba wegera pr achi qeemat me sell kr sakte hain. Is treeke se aap monthly bohot acha profit le sakte hain.

5) Youtube

Youtube ka to aap ko pta hi hoga or aap ise rozana ki bunyad pr use bhi krte honge. YouTube se earning krne ka bhi bohot asaan treeka he. Aap ko sirf Youtube pr aik Channel Banana he or jis kaam me, Jis cheez pr aap ka ziada expreience ho aap use le kr bhi videos bana sakte hain.

Bohot se Channels ko aap ne dekha hoga k wo Entertenment ki videos banate hain, Gaming ki videos bhi banate hain or lakhon log unki videos ko dekhte hain. Isi treeke se wo Rozana hazaron rupe kama lete hain.

6) Facebook Page

Aj kal Facebook pr bohot hi ziada rujhaan hota ja raha he. Uski sirf aik hi waja he wo ye k Ap ko facebook pr Adsense ki nisbat ziada paise milte hain. is liye bohot se log youtube ko chor kr facebook pr ana start ho gay hain.

Facebook pr koi page bnana mushkil baat to nahi he lakin use grow krna zara mushkil ho jata he. lakin youtube se zara asaan he q k aap videos banane k baad wohi pr hi share kr kr ache khasey views or subscribers le sakte ho.

Ise start krne k liye aap ko koi aik acha sa topic lene hoga wo aap ki apni marzi hogi. Bs facebook pr page banain, Videos upload kren or Facebook k Ads laga kr aap bohot achi earning kr sakte hain.

Facebook k page pr ads chalane ki requirments:

  • Ap ka page facebook k rules k khilaaf na ho.
  • Page pr km se km 10,000 followers ka hona lazmi he.
  • Ap ki age 18 saal se ziada hona lazmi he.
  • pichle 3 months me ap ki 3 minutes se ziada wali video pr 30,000 views lazmi hon.
  • Facebook Monetizing program Pakistan me Mojod nahi he.

7) Mobile App / Game

Ab hm baat krte hain Mobile app ki jo k aap play store se download krte hain. ap ne dekha hoga k jo apps aap apne mobil me install krte hain un k andar bohot se ads / ishtihaar lage hote hain.

Android App se aap lakho rupe monthly kama sakte ho. Bs aap ko app banana ati ho agar nahi ati to phir kisi se aik app bnva kr use monetize kr sakte hain. Ab ye aap pr depend krta he k aap kis topic pr app bnate hain.

8) DropShipping

Dropshipping Pakistan me or india me bohot ziada hona shoro ho chuki he. Agar me aap ko simple words me samjhaon to ye aik Wholesale Dukan ki trah he. Aap ko aik Online Sore bnana parhta he jis me aap ki investment lagti he. Ab uske baad aap ko Online Wholesale rate pr products khareed kr apne paas stack kr leni hoti hain or unhe ab aap apne store pr apni marzi ki price me sell kr sakte hain.

Ye treeka thora mushkil he or is k liye aap ko aik PayPal k account zaroor chahiye hota he q k saari payment usi me hi ati he. Ab agar aap ko PayPal accocunt ka nahi pta to aap isi website se mukamal treeka parh sakte hain.

How to make Paypal account in Pakistan

Ye 8 aise kaam the jo k aap asaani se ghar bethe kr sakte hain. Jab mene online kaam me qadam rakha tha to mujhy bhi nahi pta tha k me ise start kese kron. Mene sabs e pehle to Blogger pr aik site banai or woha urdu me Posts likhna shoro kr diye. 2 months k baad mere kuch posts rank hona shoro ho gay or mene Google Adsene se ads k liye approval li or woha se meri earning start ho gai.

Meri sab se pehli earning $102 ki thi. Lakin 1 se 2 Months k baad yehi earning $400 se $500 me hoti gai. Agar aap ko bhi online earning krni he to aap apne pasand ka koi aik topic talaash kren or bs shoro ho jain. Agar aap ko in sab me se kisi bhi cheez k baare me janna ho to aap mujhse comments me pooch sakte hain.

Written by Easypakistan Team

Easypakistan.com is a best Pakistani leading blog where millions of users have got helped by reading our topics. We cover Tech, News, Finance, Celebrities, how to and Real State topics.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Jazz SIM owner Name check

How to Check Jazz SIM Owner Name Online 2023

Zong 4G

Zong *2244# Call Package Details for Prepaid Customers